Poet: Goya Faqir Mohammad
Takallum jo koi karta hai fani
hamari aur tumhaari hai kahani
hamari aur tumhaari hai kahani
Junun mein yaad hai ek bait-e-abru
kahan hai ab dimagh-e-sher-Khwani
kahan hai ab dimagh-e-sher-Khwani
Maal-e-ashiq o mashuq hai ek
suna hai sham-e-sozan ki zabani
suna hai sham-e-sozan ki zabani
Nishan hum be-nishanon ka na paya
saba ne muddaton tak KHak chhani
saba ne muddaton tak KHak chhani
Wo aashiq hun na aae nind mujh ko
Sunun jab tak na yusuf ki kahani
Sunun jab tak na yusuf ki kahani
Nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
Suna hai hum ne 'goya' ki zabani
Suna hai hum ne 'goya' ki zabani
0 Comments